<<<§ISLAM KAY BUNIYADI SATOONON AUR UN PAR
AMALDARAMAD§>>>
Taraveeh Part no 3:>>>
Paas chunkhay Shiayan Ali a.s apnay Imamay Awaal a.s Kay
Mazhaab kay Mutabiq Sunnatay Muhammad s.a.w.w kay Parokaar hain aur Hazrat Umer
ko Ummati samjtay hain iss liyay Sunnat kay Muqablay main Bidaat Ko Qabool
karna unn kay Mazhaab main jaiz nhen hay Lihazah who Taraveeh kay Qail nhen iss
kay Baraks Sunni Hazraat, Hazoor s.a.w.w kee Sunnat say zaidah maqaam Ahaykamay
Sahaabah Kaa Aytaqaad kartay hain lihazah who baqaidgee say Taraveeh parhtay
hain>>>
Darogh Go Hafiz Niya Shaad Hazrat Umer nay Nimazay Taraveeh
Ba Jamayat kaa Hukaam daytay waqt iss baat ko Malhooz nhen rakha khay Quran
Majeed main Ayatay Sajidah bhe hain Inn Main Chaar Maqamaat aysay bhe hain Khay
Jahaan Fil For Qaari O Samaay par Sajidah Karna Faraz hota hay Khuwah who
Kaysee he Halaat main hun laykaan dusri taraf hukaam yhe hay khay Nimaz kee
Tarteeb main Tabdeeli karna Mana hay Yaani Rakoo Say Phaylay Sajidah Nhen Karna
Chaiyay Ab Farmayain Jab Taraveeh main Ayatay Sajidah Ayay Gee to Halatay
Qiyaam kay Baad Sajidah karna Wajib ho gaa Yaa nhen aur har Rakhoo say Phaylay
Sajidah karna Manaay Nimaz Hay Aab Aysee Suraat Main Kisee aik Hukaam kee
Khaylaaf Warzi karna Parhay Gee Ya Nhen>>>
Yhe Wajah hay khay Aam Halaat main Ahaylay Sunnat kay haan
bhe who Suratain Nimaz main Parhna Mana hain Jinn main Sajidah Kee Ayat Mojood
hay Neez yhe khay Hukaam hay Nimaz Ba Jamayat ko Lamba Nah Kiya Jayay Taa Khay
Laghaar o Zaheef Hazraat ko Takleef Mehsoos nah ho jo Shariyat Insaani
Zarooriyaat ko Iss Tarah Malhooz Rakhtee hay Agar who Bhookay Piyasay logon ko
Tarveeh kee Mushaqaat Bardasht karnay Par Majboor karay to yhe baat aik Nuqas
ho gaa aur Bojh (Yani Bhaar Yaa Wazan) bhe>>>
Bad az Aftaar Rozah Daron Kee Tabiyaat Par yhe Bojh Zaroor
Na Gawaar Guzarta hay aur Islami Shariyaat Qadam Qadam par Insaani Iqdar o
Taqazon kee Hifazat karti hay yhe he wajah hay Hazooray Akram s.a.w.w jo khay
Insaniyat kay Mizaaj Shanas thay nay Taraveeh kaa Naam Taak Nhen
Liyaa>>>
Taraveeh kay Baray Main Yhe Lateefah Mashoor hay khay Mahay
Ramzaan main aik Angraiz nay Islaam Qabool kiya Din Bhar Rozah Rakha aur Raat
ko Taraveeh kee 20 Rakaat Nimaz parhee Aglee Subah uss nay Islaam Tarak kar
diya aur Kaha Khay yhe Mazhaab Istataat say Zaidah Takleef Dhay
haay>>>
To Be Continue will be in a Next post........
0 comments:
Post a Comment