§HUM MATAAMAY HUSSAIN A.S KION KARTAY HAIN§ (Matamay Hussain
a.s Dar asaal Marhagaay Yazeed Hay)>>>
100 Prove About Matam, Prove No 5:>>>
Shahadatay Imam Hussain a.s Paar Khataa Mal Mursayleen
Muhammad Mustafa s.a.w.w Kee Azadari:>>>
Mishkawat Shareef main Hazrat Umal Fazaal Zojaah Hazrat
Abbas r.a say Saahib Al Muajaam Baghvee nay Unaas Bin Malaak say Shaikh Abdul
Haq Muhadas Dhaylvee Nay Jazab Al Qaloob main Hazrat Ali a.s say Tarmizee nay
Apni Saheeh main, Imam Ahmad Bin Hunmbal nay Masnaad main Imam Bhayqee
nay Apni Sanaan main Ibnay Abbas say, Haafiz Abu Naeem O Ishaq Ibnay, Rahviyaah
aur Um Al Momineen Hazrat Umay Salmaah say Waylmee nay Maaz Ibnay Jayhil say
Ibnay Saad Nay Tibqaat main Hazrat Ayesha say Tibraani nay Hazrat Um Al
Muslaymeen Zainab Binay Hajash say Imam Hakaam nay Mustadraak main Hazraat
Ibnay Abbas Ibnay Hujar Maaki nay Sawaiq Muharqah main aur Shah Abdul
Azeez Muhadas Dhaylvee nay Ahadeesay Rasool s.a.w.w say Wakiyaa Karbalaa Kee
Pesh Goyeeiyan Naqaal kee hain Jinn Main Sariyhaan Tehreer hay Khay Rasoolay
Akram s.a.w.w nay Qabal Azz Shahadat Imam Hussain a.s Wakiyatay Shahadat Biyaan
Kaar Kay Khud Giryaah O Bakaa Farmayaa aur Sunnay Walon ko Rulayaa Yaani Islaam
main Majalas Ayzayay Hussain a.s kee Buniyaad Khud Apnay Dastay Mubarik say
Rakhee aur Imam Hussain a.s Kay Sogwaron Ko Jannat Kee Basharaat dee Laykan Iss
Maqam Par Hum Anhazrat s.a.w.w Kee Azadari Kaa Saboot Baad Azz Shahadat Imam
Hussain a.s Sahaa Sitaa kee aik Saheeh say pesh kar kay Azadari ko Rasool
s.a.w.w kee failly Sunnat Sabaat karain gaay Taa Khay Hujaat Kamil ho Chunacha
Shahee Tirmizi main hay Khay (Umay Salmaah Biyaan Karti hain Khay Main
Nay Rasoolay Khuda s.a.w.w ko Khuwaab main daykha Khay Aap s.a.w.w rotay hain
aur Aap s.a.w.w kay Saray Aqdaas aur Resh Mubarak par Khak Paarhee hay to main
nay Dariyaft kiyaa Jawab diya Khay Abhe Hussain a.s Qataal huway hain aur Aysaa
He Khuwab Ibnay Abbas r.a nay Dophair kay waqt Daykha Khay Aap s.a.w.w
Ghubar Alood hain aur Aap s.a.w.w kay hath main aik Sheeshi hay jiss main Khoon
Bharaa hay Farmayaa Aaj main Din Bhar usee kay Peechay Rahaa (Yaani Din Bhar
Jamaa kartaa raha) Paas Logon nay Ghorr kiyaa to Maloom Huwa Khay ayain
usee din Imam Hussain a.s Qataal Huway Jaysaa Khay Anhazrat s.a.w.w nay
Farmayaa tha Karbalaa main jo Mulaak Iraq kee Zameen Kufaa kay Paas hay aur who
Maqaam Tuff kay Naam say Mashoor hay Imam Hussain a.s Ko Sanaan Bin Unas Nagee
nay Qataal Kiyaa aur Baaz nay Iss Shaqs kay Elawaa aur Dusron ko bhe Batlayaa
hay who Jumma Kaa Din Tha Muharaam Kee Dasween Tareekh 61 Hijri Aap Kaa Saan
Chapaan Baras tha Jaab Aap a.s Ko Qataal kar Chukay to Saar aap a.s Kaa
Yazeed Layeen kay Paas Bhauj diya Gayaa Jaab Manzaal Paar Utraay to Sharaab
Khuwaari main Masroof huway Iss Asnaa Main Unn Kay Samnaay Diwaar say aik hath
Niklaa Jiss main qalaam tha jiss main Khoon Say Aik Sataar Likh Dee
who yhe Shair tha>>>
(Jinn Logon nay Hussain a.s ko Qataal Kiyaa Kiya Who Inn
Kaay Nanaa s.a.w.w kee Shaffaat kee Umeed Kartay hain?>>>
To Be Continue will be in a Next post........
About Matam Prove No 6 click here
0 comments:
Post a Comment