<<<§ISLAM KAY BUNIYADI SATOONON AUR UN PAR
AMALDARAMAD§>>>
Nimazay Rasool s.a.w.w Kee Ibtada Aur Ikhtatam:>>>
Isee Tarah Jab Hum Nimaz kay Tareekay Kee Tehqeeq Kartay
Hain to Humhain Ahaylay Sunnat Kee Mashoor O Maroof Kutab main yhe bat likhee
huwee Miltee hay Khay Hazoor s.a.w.w Bismillah Kay Bad Surayay Hamd say Nimaz
Shuru Farmaya Kartay Thay aur Takbeer Yani (Allha Ho Akbar) Par Khatam Kartay
Thay Mula Khata Keejiyay>>>
Ref: 1: Saheeh Bukhari Matboowa Misar Jild no 1, Kitab Al
Salat Page no 100>>>
2: Saheeh Muslam Muah Sarah Nodi Matboowa Maktabay Saudia
Karachi Jild no 2, Page no 74,75>>>
3: Mishkawat Mutarajam Matboowa Saudi Karachi Jild no 1,
Page no 183>>>
Youn to Bazahir har Mazhab Yani Sunniyah kay Jitnay Bhe
Firqay hain Aur Shia sab main Ibtada Nimaz Surayay Fatiyah He say Hote hay
Laykan Iss Main bhe aik Faraq Hay Jo Daykhnay main Mamoolee Maloom hota hay
Laykan Darasal main iss kaa Nateejah Bhout Khatar Naak hay who yhe khay Sunnee
Hazrat Surayay Fatiyah Kee Tilawat to Zaroor Kartay hain Laykan iss main
Amooman (Bismillah Al Rehman Nira Heem) Chorr jatay hain Halan Khay (Bismillah
Al Rehman Nira Heem) Surayay Hamad kee Juzvee Ayaat hay aur Agar Isay Tarak Kar
diya Jayay to Surah kee Ayat Chout Jati hay Jo Khay Tehreef hay (aik Bhout Bari
Tehreef)>>>
Abb Hum Agar Sachay Sunnati Hain to Nimaz Nabi s.a.w.w kee
tarah Parhain gay Insha Allha Tala
§Jehar Bismillah§>>>
Nabi s.a.w.w Nimaz Main Suryay Hamd say Phaylay Bismillah
Parhtay Thay Jab Kay Shia Kay Elawa Baqi Mazhab Walay Nhen Parhtay>>>
Bismillah Al Rehman Nira Him Ka Surayay Fatiyah Ke Phaylee Ayaat Hona Ahlay Sunnat kay Haan
Tasleem Shudah hay Saboot Kay Liyay Daykhiyay >>>
Ref: Muani Al Asaar Tahavee Matboowa Al Islamiyah Lahore
Jild no 1, Page no 117,118 aur Sann Kubra Allama Bhayqi Matboowa Haiderabad
Dakan Jild no 2 Page no 44, 45 etc>>>
Ab aap Khud Andazah Farmayain Khay Jab Hazoor s.a.w.w Hamd
say Nimaz Shuru Kartay thay to Yaqeenan Bismillah Zaroor Tilawat Farmatay thay
Jaysa Kay Uper Bhe Biyan Ho Chuka hay laykan Aaj Ghair Shia Musalman jo Ba
Zahir Ahaylay Sunnat Honay Kay Dawaydar hain Nimaz kee Ebtada he Khaylafay
Sunnat kartay hain aur aik Surayay Quran kee aik Intayhayee ayhaim Ayaat Nazar
Andaz Kar Daytay hain Jab Khay Shia iss Ayaat ko Ba Awazay Buland Parh kar iss
bat kaa Saboot Daytay hain khay who Sunnatay Rasool s.a.w.w kay Payrokar hain
>>>
Isee Tarah Sunnee Hazrat Kee Nimaz Salam Phairnay Par Khatam
Hotee hay Jab Khay Mutafiq Alay (Yani Don Mazhbon Kee Mutafiqah Bat hay)
Rawayat Kay Mutabiq Nabi Akram s.a.w.w kee Nimaz Takbeer par Khtaam Hotee thee
(Jaysay Shia Last main Tashad main Bhath kar 3 Martba Tabeer Parh kay Kanon
Taak Hath Lay Jatay hain) Lihazah Maloom huwa Khay Sunnee Hazrat Nimaz Ka
Ikhtatam bhe Sunnatay Muhammad s.a.w.w kay Khaylaf he kartay hain Jab Khay Shia
Nimaz (Allha Ho Akbar) Yani Takbeer Par Khatam Hotee hay Paas Maloom huwa khay
Shia Nimaz Kee Ebtada aur Intayha Ba Mutabiq Rasoolay Kareem s.a.w.w
hay>>>
Hum nay iss Maslay say Mutalaq Ahaylay Sunnat Wal Jammat kay
aik Molvee Sahib say Tabadlah Khayal Kiya Molvee Sahib nay Farmaya Khay Bismillah Sharif agar dil main Parh Lee Jayay
to Haraj Nhen hay Lihazah Hum Dil main
Parhtay hain Buland Awaz say nhen Parhtay
uss waqt hum nay unn kee Bat Qabool kar lee Khay Chalo Neeyat Naik hay
Khafi(Chupay Huway) Parhain Ya Aylaniyah Koe Haraj nhen Laykan yhe Khatka Raha
Khay Jab Molvee Sahib Sari Suraat Buland Awaz main Parhtay hain aur Quran
Majeed main Ayat Bismillah Likhee bhe hay Pher Akhar isay Chupanay Ka Maqsad
aur Raz Kiya Hay Isee Asna main Hum Nay Imam Ahaylay Sunnat Wal Jamat Hafiz
Jalal Ud Deen Sayooti kee Tafseer Duray Manshoor Main Parah>>>
(aur Dar Qutnee O Hakim Bhayqi nay Abu Hurayrah say Hadees
Naqal Kee hay Khay Abu Hurayrah Nay Biyan Kiya Khay Rasoolay Khuda s.a.w.w
Nimaz Main Bismillah Hir Rehman Nira Heem Buland Awaz say Parhtay
Thay)>>>
Ref: Duray Manshoor Jild 1, Page no 8>>>
Jaab Iss Bat Kaa Pata Chala
Khay Rasool s.a.w.w Baa Awaz Buland Bismillah .... parhtay thay to Akhar
Iss Sunnat ko kion Tarak Kar Diya gaya aur Zahiri Tilawat Ko Kiss wajah say
Chupaya gaya Lihazah Daal main Kala Dhondnay Ka Shouq Huwa Mutalaya Kartay
rahay Ahaylay Sunnat Kay Mashoor Imam Fakhar Ud Din Raazi Ke Tafseer Kabir main
Yhe Alfaz Parhay >>>
Tarjamah:>>>
(Yani Bayshaq Ali a.s Ka Mazhab Tamam Nimazon Main Buland
Awaz say Bismillah Parhta tha)>>>
Ref: Tafseer Kabir Jild no 1, Page no 59 and Sanan Kubra
Jild 2, Page no 48>>>
Hazrat Ali a.s Sahabiyay Rasool s.a.w.w bhe hain aur Alay
Muhammad s.a.w.w main bhe Shamil hain Ahaylay Sunnat Aur Ahaylay Tasheeh dono
Grohh Hazrat Ameer a.s Ko Mushtarika Bazurg aur Rashad Mantay hain App a.s
Hazooray Karam s.a.w.w kee Aghosh main Parwan charhay aur Hazoor s.a.w.w nay
Khud Aap ko Taleem dee aur Babay Elam O Hikmat Farmaya Lihazah Tabiyat Iss Amar
kee Taraf Raghab Hotee hay Khay Aysay
Jaleel Al Qadar Bazurg Ka Mazhab Jehr Bismillah (Yani Bismillah Ka Parhnay Wala
Hay Hamd kay sath) To Yaqeenan Yhe he Haq hay Kion Khay Farmanay Rasool s.a.w.w
hay khay Ali a.s Haq kay sath hain>>>
Pher Mashoor Imam Showkani Ka yhe Qoul Nazar say Guzra khay
(Jehr Bismillah) Par Alay Rasool s.a.w.w nay Ejmah Kiya hay >>>
Ref: Neel Al Wataar Mua Hashiyah Awon Al Bari Jild no 2,
Page no 91 >>>
Yani Alay Muhammad s.a.w.w kay Tamam Afrad ka iss Bat Par
Mukamal Aytafaq hay Khay Bismillah Buland Awaz say Pareeh Jayay Ab to yhe
Maslah aur bhe Saaf Ho gaya Khay Alay Muhammad s.a.w.w par Nimaz Main Darood
Parah Jaata hay Pher Nimaz He Kay Mamalay main Alay Muhammad s.a.w.w kee
Mukhalayfat Kion Kar Durust ho sakti hay Lihazah Tasleem kiya Khay Shia Log Jo
Jher Bismillah kay Amal hain to Yhe Etabaa Muhammad s.a.w.w o Alay Muhammad
s.a.w.w hay aur Sunnatay Nabi s.a.w.w kee Payravee hay aur Ahaylay Sunnat
Hazraat nay iss Sunnat Ko bhe Amlan Chorr diya hay>>>
0 comments:
Post a Comment