<<<§ISLAM KAY BUNIYADI SATOONON AUR UN PAR
AMALDARAMAD§>>>
Taraveeh Part no 1:>>>
Hum daykhtay hain khay Sunni Bhai Ramzan Shareef main
Nimazay Taraveeh Baray Inhamak say parhtay hain Jab khay Shia log iss warzishay
jismani say mehroom rhaytay hain Taraveeh kay Ahaylay Sunnat Wal Jamaat kay
nazdeek bhout fazail hain laykan afsos yhe hay khay meray Sunni Bhai Andah
Dhund Taqleed main apni Misaal aap hain jiss Taraf unn ko Mulla laga day Billa
Chun Charaan ankh band kar kay rawaan dawaan rhaytay hain aur jo amoor Asalaay
Sunnat hain unn ko chorr daytay hain aur jo baat Anhazarat s.a.w.w kee Sunnat
Sabat nhen iss par iss tarah artay hain Jaysay Halaq main Paan kee
Chaliyah>>>
Bhai Allha kay bando agar aap Waqiya he Sunnatay Rasool
s.a.w.w kay Parwanay Hain Az Rahay Khuda O Rasool s.a.w.w Mujhay Lafazay
Taraveeh Zubanay Rasool s.a.w.w say sabaat kar kay daykha dayain humhain
bawajood kosish Tamah kay yhe Lafaz Hazoor s.a.w.w kee Zubanay Mubarik say
Kisee bhe Jaga Nhen Mill Paya Ab Khud Andazah Farmayain Khay Jiss Amal Kaa Naam
Taak Sarah a.s nay Zubanay Mubarik say Ada Nah Farmaya ho who kiss Tarah Sunnat
ho sakta hay magar aap ke Hat Dharmi ka kiya karain billa wajaha Ghalat Bat
Rasoolay Maqbool s.a.w.w kee taraf mansoob kiyay chalay jaa rahay hain jiss kee
nah koe daleel hay aur nah he koe Jawaz>>>
Abb zara Bukhari Bad Az Kalaam Baazi Kee taraf Tawajah
Keejiyay aur apni Sadiqah Hazrat Umal Momineen Ayesha kee iss rawayat par ghore
farmayiyay>>>
(Abu Salmah Abdul Rehman say Rawayat hay khay Unhon nay
Hazrat Ayesha say Poocha Khay Rasool s.a.w.w kee Nimaz Ramzan main Kiss Tarah
Hotee thee? Unhon (Ayesha) nay kaha khay App s.a.w.w Ramzan main aur Ghairay
Ramzan main 11 (Giyaran) Rakaat say Zaidah Nimaz Nah Parhtay Thay)>>>
Ref: Saheeh Bukhari Matboowah Noor Muhammad Asaah Al Mutabay
Karachi Para 8, Jild no 1, Kitaab Al Soum (Nimazay Taraveeh Ka Biyanz) Page no
448, Hadees no 1857>>>
Aysee he Rawayat>>>
Ref: Saheeh Muslim Mutarajam Matboowah Maktabay Al Saudiya
Karachi Jild no 2, Page no 227, main hay>>>
Lihazah Muhadiseen Kay Nazdeek yhe Rawayat Mutafiqa
Hay>>>
Aab Imaan say Batain agar Hazoor s.a.w.w Tarveeh Parah Kartay
Thay to pher Sadiqah Sahibah Nay uss kaa Zikar kion nah Farmaya aur Ramzan aur
Ghairay Ramzan main 11 Rakaton kee Adaigee kiss liyay Batayee Paas Bukhari O
Muslim kee Rawayat say Bashadat Umal Momineen Sabat huwa khay Zamanah Rasoolay
Maqbool s.a.w.w main Taraveeh Naam kee koe Nimaz nhen thee Pher yhe Sunnat
Kaysay Hue?>>>
Magar Mujhay Afsos kay sath yhe Dhorana parhta hay khay
Darasal Ahaylay Sunnat Hazraat, Nabi s.a.w.w kay Afaal o Aqwaal ko Sunnat Nhen
Samjtay Balkay Unn kay Doston Yaron kay Afaal O Ahykaam ko Sunnat Ka Darjah
daytay hain Khuwah who Rasool s.a.w.w kay Tareekon say Kitnay He Mukhtalaf Kion
Nah Hun>>>
To Be Continue will be in a Next post........
0 comments:
Post a Comment