§HUM MATAAMAY HUSSAIN A.S KION KARTAY HAIN§ (Matamay Hussain
a.s Dar asaal Marhagaay Yazeed Hay)>>>
100 Prove About Matam, Prove No 4:>>>
Ghamay Hussain a.s Main Hazrat Musa a.s Kaa Khoon
Bhaynaa:>>>
Musa a.s Ka Bahumraah Hazrat Youshaa Bin Noon Zameenay
Karbalaa say Guzar huwa Itayfaqaan Aap a.s Kee Nalain Phat Gayee aur Uss Kaa
Tasmaah Bhe Toot Gayaa (Iss Wajaah Say) Aap a.s Kay Pawon main aik Sakhat Lagaa
aur Khoon Nikaal Paraa Aap nay Baargah Izdee main Araaz kee Parwardaygar main
nay Kiya Khataa kee Jiss kee Yhe Sazaa Milee? Wahee Ayee Aay Mussa a.s yhe Who
hee Maqaam hay Jahaan Hussain a.s Qataal kiyay Jayain Gay aur Isee Maqaam Paar
Unn Kaa Khoon Girayaa Jayaay Gaa Paas Iss Waqt Tumharaa Khoon Bhe Unheen Kay
Khoon Kee Muwafaq main Bahaa Hay Musaa a.s nay Araaz kee Hussain a.s Kon Hain?
Nida Ayee Hazrat Muhammad s.a.w.w kay Nawasay aur Ali Murtaza a.s kay
Farzand>>>
Ref: Nasakh Al Tawareekh Bahawalaah Wakiyaatay Karbalaa Kay
Roohani Asbaab Page no 54, Paas Rawayaat Manqoola Balaa say Saabat Huwa Khay
Imam Hussain a.s Kee Muwaafiqat main Kisee Khoon Kaa Bhay Janaa Mashiyatay
Izdee Kay Muwafiq hay>>>
0 comments:
Post a Comment