§HUM MATAAMAY HUSSAIN A.S KION KARTAY HAIN§ (Matamay Hussain
a.s Dar asaal Marhagaay Yazeed Hay)>>>
100 Prove About Matam, Prove No 7:>>>
Ghamay Hussain a.s main Ameer Al Momineen Hazrat Ali a.s aur
Rooh Allha Janabay Eysaa a.s Kee Sogwari:>>>
Safeen kay safar kay duran jab Hazrat Ali a.s Bamah Lashkar
kay Kufay ka pul par kar ky Masjid Abu Sirah main Dakhal huway to wahan Nimaz
Ada ke aur Taasbeeh Parhee pher Sar Zameenay Babal par Pounchay to apnay
Lashkar ko wahan say taizee say Guzar Janay Ka Hukam diya kion khay yhan aysa
Wakiya Pesh ayay gaa jiss main bhout say zindah adamee zameen main dahans
jayain gay yhe sunn kar Ahaylay Lashkar nay Bari Ujlat main yhe safar kiya jab
Aap a.s Karbala kay maqam par pounchay to dariyay furat kay kinaray Jhan chand
Khajooron kay darakht thay Tashreef lay gayay aur Abdullah Ibnay Abbas r.a say
farmaya khay kiya tum yhe jantay ho yhe kon see jaga hay Unhon nay araz kee
khay hum iss maqam ko nhen jantay Ameer Al Momineen a.s nay farmaya Ay Abdullah
agar tum ko maloom ho jayay yhe kon see aur kaysee sarzameen hay to tum bay
ikhtiyar Zaro Zaar Ronay lag jawo Pher Arshad Farmaa kar Khud Hazrat Ali a.s
Itna royay Khay Muhasan Mubarik Ansoonwon say Tar ho gayeey aur Farmaya Afsos
hay Meray Sath Alay Abu Sufiyan nay Kayse Adawat Ikhtiar ke hay iss kay Bad
Imam Hussain a.s ko Talab farmaya aur arshad Farmaya Ay Farzand Sabar Ikhtiyar
karo aur Daykho Aaj kay din Abu Sufiyan kee All say Kiya Dukh Utha raha hun Kal
Tumhain bhe Inn Zalmon kay Zulam Bardasht
karna hun gay uss Guftagoo kay Bad Ameer Al Momineen nay Wazoo kiya aur chand
Rakaat Nimaz parh kar aik saat kay liyay so gayay jab baydar huway to Hazrat
Abdullah Bin Abbas r.a ko talab kiya aur Farmaya Aay Ibnay Abbas main nay aik
Ajeeb Khuwab Daykha hay Khay Aik Noorani Cherah Gerohay Mardaan Nazal huwa hay
Jiss main Tamaam Hazrat Talwarain Hamayail kiyay hain aur Sufaid Alaam Hathon
main Liyay hain Unhon nay iss sarzmeen kay irad gird aik lakeer Khainchee hay
uss waqt inn Khajoorton kay darakhton kee yhe halaat thee khay apni Shakhain
zameen par tapak rahay thay Tazaa Khoon kee Naher Jari thee Hussain a.s Fariyad
kar rahay hain Laykan koe uss kaa
fariyad raas nhen hay aur who sufaid cheron walay log nida kar rahay
hain khay Aay Alaay Rasool s.a.w.w sabar karo aur Jan lo khay tum badtreen
Makhlooq kay haton Qataal ho rahay ho Aay Hussain a.s aap ko basharat ho khay
Bhayshat aap kay qadmon kee mushtaq hay pher who log meray paas ayay aur Rasmay
Taziyaat Baja layay Yhan Taak khay Khuwab Daykh kar main Baydar ho gaya Aay
Abdullah Ibnay Abbas r.a Khuda Wanday Kareem Kee Qasam Rasoolay Khuda s.a.w.w
nay Mujhay Matlaa Farmaya tha khay main
Hangamay Safar main Karbala par yhe Khuwab daykhun gaa Aay Ibanay Abbas r.a yhe
who he Zameen hay jiss main Hussain a.s aur aik Jamayat Farzandanay Fatima s.a
Bintay Rasool s.a.w.w kee Madfoon ho gee Ahylay Asman bhe iss jaga ko Karbala
khaytay hain uss jaga ko talash karo jahan Hiraan Shabguzari kartay hain aur
Araam laytay hain Abdullah r.a aur who maqaam maloom kar kay ayay chunacha
Hazratay Ameer a.s nay Farmayaa Sadqay Rasool Allha s.a.w.w Pher Aap a.s iss
Maqaam paar Tashreef lay gaayay aur wahan Pounch kar aik Muthee Haranon kee
mainganon kee khay jin kaa Rang Zafraan tha aur jinn say Mushaq kee Khushboo
atee thee Utha kar Sunghee aur Farmaya Bayshaq Allha Kay Rasool s.a.w.w nay
Aysaa he Pataa diya tha Aay Abdullha r.a Mujhay Aanhazrat s.a.w.w nay Khabar
dee hay khay aik roz Hazrat Isa a.s Ibnay Mariyam s.a ka guzar iss sarzameen
par huwa aur meri Tarha Pashak Ahoon ( Haran kee Mainganain) daukh kar unhon
nay bhe sungha tha uss waqat tamam Hiran unn kay samnay kharay thay aur Janabay
Eysa a.s rotay thay Hawariyon nay Mojabay Giryah dariyaft kiya to janab Mashee
a.s nay arshad farmaya khay yhe sarzameen who hay Jiss main Farzanday Muhammad
Mustafa s.a.w.w ko qatal kar diya jayay gaa who Mazloom Maqtool Payghambar
s.a.w.w Akhari kee dukhtaray Naik ka Lakhatay Jigar hay Pas Maseeh a.s nay
Mainganain utha kar Songeen aur Hawariyon say farmaya khay yhe iss liyay
Khushboo dar hain khay Allha Tala aik din Farzanday Mustafa s.a.w.w ko iss jaga
layay gaa who inn ke khusboo say Tasalee payay ga >>>
Ay Abdullha yhe who he Pashak hain jo iss waqt meray Hath
main hain jinn ko Eysa a.s nay apnay hath main Uthaya tha Jab Janabay Ameer a.s
yhe Farma Chukay to Bhout Girya kiya aur Farmaya ay Parwardaygar Eysa a.s Meray
Baytay kay Qatalon ke Umer say Barkaton ko Salab Farma aur Unn ko Humeshan kay
liyay Maloon kar. Pher app a.s iss qadar roayay khay Halatay Ghashee Tari ho
gayeey Jab Hosh huwa to 8 Rakaat Nimaz parhee aur bar bar Mainganon ko sungtay
rhay aur apnay Farzand Hussain a.s ko tasalee daytay rhay>>>
Ref: Makhooz Az Bala Ul Mubeen Bahawalah Tareekhay Rozatul
Ayhbab Habeeb Al Seer aur Fatoohatay Ashamay Koofi>>>
Iss wasay say Mundarja Zail Amoozay Azadari Sabat
Huway>>>
1: Ziyarat Roza Mubarak Syeday Shuhada a.s Ka Istaysab aur
Shiwa Ambiya O Mursaleen O Ayaiman a.s >>>
2: Jaloos ke Shaqal main Alam Hath main lay kar Imam Bargah
main Ana>>>
3: Hussain a.s say mansoob nishaniyon ka Ahytaram karna aur
unn ke Ziyarat Karna Khuwa who Hiranon ke Mainganain he kion nah
hun>>>
4: Ghamay Hussain a.s main Giryah Zari karna aur unn kay
Moozion kay liyay Lanat kee Baduwa dayna>>>
5: Sadiyan Beet Janay kay bad bhe Waqiaya Karbala kee yadgaar
ko qaim rakhan Jab khay Maseeh a.s nay Kayee Sadiyan Qabal Zameenay Karbala par
maqamay Qatal Gaah kee Ziyarat kee aur Hazrat Ali a.s Nay Khasoosan Ibnay Abbas
ko jayay Khas kay Talash karnay Ka Hukam diya >>>
6: Khajoor kay Darakhton kee Shakhoon kaa Neechay Tapak kar
matam karna aur Zameen par sar marna>>>
7: Mayher kay Paani kaa Khoon baan Jana aur pher Jaari
Rhayna>>>
0 comments:
Post a Comment