§HUM MATAAMAY HUSSAIN A.S KION KARTAY HAIN§ (Matamay Hussain
a.s Dar asaal Marhagaay Yazeed Hay)>>>
100 Prove About Matam, Prove No 10:>>>
Imam Zainal Abideen aur Imam Muhammad Baqir kay Arshadat
khay Momin Azadar Qiyamat kay Din ke Sakhtee aur Dozakh ke Aqoobat say Mehfooz
Ho Ga>>>
Tafseer Ali Ibanay Ibraheem main Imam Muhammad Baqir say
Rawayat Hay Khay App a.s nay Farmaya khay Meray Waladay Bazurgwar Hazrat Zain
Al Abideen a.s nay Arshad Farmaya hay
Jin Momin ke Ankhain Imam Hussain a.s aur Unn kay Humrahiyon kee Shahdat par
Royain gee aur uss kay Ansoo uss kay Rukhsar par Bahain gay Khuda uss kay Liyay
Janat Main aik Urfa (Ghar) Ata Farmayay Ga aur jo koe apni Ankhon ko Ashqbar
karay ga Yhan Tak Khay uss kay Ansoo Bahay Kar Uss kay Galon par Aa Jayain
Humari Museebaton ko Yad kar kay Jo Dushmanon kay Haton say hum ko pounchee
hain to Allah Tala uss kee Museebaton Ko durr kar day ga aur Qiyamat kay din
who Qiyamat ke Sakhtee aur Duzakh ke Aqoobat say Mamoon O Mehfooz rahay
Ga>>>
Ref: Niya Bee Al Muwadat Fil Qurba Az Sulayman Balkhee Page
398, Ba Hawalah Karbala ke Yaad page no 93, 94>>>
To Be Continue will be in a Next post........
About Matam Prove No 11 click here
0 comments:
Post a Comment