§HUM MATAAMAY HUSSAIN A.S KION KARTAY HAIN§ (Matamay Hussain
a.s Dar asaal Marhagaay Yazeed Hay)>>>
100 Prove About Matam, Prove No 6:>>>
Muhabatay Hussain a.s main Ashqay Azaa Bahanaa To
Kujaa Rasool s.a.w.w nay Apnay Iklotay Baytaay ko Qurbaan Kaar
diya:>>>
Mulaa Jaami nay (Shawahid Al Naboowat) main Syed Ashraf
Jhangeer nay (Lutaif Ashrafi) main Sahibay (Sadaat Al Konain Fee Fazail Al
Hussain a.s) nay Apni Kitaab main Mohtabirana Asnaad say Tehreer kiyaa hay
khay Mashoor hay Khay Aik Din Aanhazrat s.a.w.w apnaay aik Zanwaa paar
apnay Noor Al Ayain Hussain a.s aur Dusray Zaanoo Paar Apnaay Farzand Ibraheem
a.s Ko Baythayay thay Nagaah Hazrat Jibrail a.s nay Paygham Pounchayaa Khay Yhe
Donon Aap s.a.w.w Kay Paas nhen Rahaay Saktaay inn main say Kise aik Ko
Ikhtiyaar Keejiyay Nahayaat Afsos Kee Jigar aur Ghorr karnaay kaa Maqaam
hay Khay 2 Piyaron main Iss qisaam Ka Fiaslaa Kiss Kaa Qalaab Kaar Saktaa hay
aik Baytaa Dusraa Baytee kaa Baytaa Laykaan Waah Ray Hussain a.s Kee Muhabaat
Jiss Paar Dil nay Kisee Taraah Ibraheem a.s Ko Hussain a.s Paar Tarjee naah dee
aur Hussain a.s hee Ko Ikhtiyaar Farmayaa chunachaa Iss Waqiyaah kay 2 Roz Baad
Hazraat Ibrahim a.s Nay Intaqaal Farmayaa khaytay hain Khay Jaab Aanhazrat
s.a.w.w kee Nazar Imam Hussain a.s Par Parhtee thee to Aap s.a.w.w Josh kay
sath Farmatay thay Mubarik aur Khushgawar ho ayy meray who Piyaray Jiss Paar
main nay apnay Baytay ko Qurbaan kaar diyaa>>>
Ref: Risalaah Al Balaa Al Mobeen page 12:>>>
Paas Muhabatay Hussain a.s Main Rasoolay Saqlain s.a.w.w Kaa
Apnay Farzand Dil Band ko Qurban kar daynaa iss Baat Kaa Saboot hay Khay
Hussain a.s kee Muhabaat main Kisee bhe Qurbaani say Duraigh Naah Kiyaa Jayay
Jab Khay Azadari Iss Isaar say Bhout hee Kaamtareen Darjaah rakhtee
hay>>>
To Be Continue will be in a Next post........
About Matam Prove No 7 click here
0 comments:
Post a Comment