§HUM MATAAMAY HUSSAIN A.S KION KARTAY HAIN§ (Matamay Hussain
a.s Dar asaal Marhagaay Yazeed Hay)>>>
100 Prove About Matam, Prove No 12:>>>
Matam main Shirkat Haqooq Al Naas Main Say Hay Imam Musa
Kazim a.s Ka Arshad>>>
Kaleeni nay Farooh Kafi Main Abdullah Kaheeli say Rawayat
kiya hay Khay Abdullah Nay Imam Mussa Kazim a.s say Araz kiya Khay Meri Zoja
aur Ibnay Maaro ke Ahayliya matam main shirkat kay liya jati hain jab inn dono
ko (Iss Aam Matam dari say) Mana karta hun to meri Biwi Mujh say khaytee hay
khay agar Matam haram hay to hum ko kion roktay ho? Jab humara koe maray ga to
humaray pass taziyat kay liyay koe nhen ayay ga Imam Musa Kazim a.s nay Farmaya
Khay tum Mujh say Haqooq Alnaas kay Mutalaq Sawaal kar rahay ho Meray Walad
(Imam Jaffer Sadiq a.s) meri Waldah aur Ume Farwa ko Matam main Shirkaat
kay Liayay Bhayjtay thay Taa Khay who Ahyalay Madeena Kay Haqooq Ada karain
(Yaani Raavi ko Mana karna Saheeh Nhen hay) Imam a.s Barhaq nah He Khud Haram
Fail Kartay hain aur nah dosron ko iss kee Ejazat daytay hain agar matam haram
hota to Imam Sadiq a.s nah he apni Zojaah Ko iss main Shirkat kee ejazat daytay
aur Nah Umeay Farwa ko Neez yhe bhe Sabat huwa khay Agar Muhallah O Qasba main
koe mout ho jayay to Mutawafi kay Lawahiqeen ka ahylay Muhallah O Qairyah par
haq hay khay Ahlay Sher inn ko Jaa kar pursaa dayain >>>
Isee haq ke roshni main Ahlay Baitay a.s Nabi s.a.w.w ka Bhookaa
aur Piyasa Zibah ho jana aur Bharay Ghar Ka Chand Ghariyon main Ujer jana
Mutaqazi hay khay Rasoolay Akram s.a.w.w ko pursa diya jayay Ali a.s O Fatima
s.a aur Sadatay Azaam say Ezharay Taziyat kiya jayay>>>
To Be Continue will be in a Next post........
About Matam Prove No 13 click here
0 comments:
Post a Comment