Breaking News
Loading...
Saturday 25 June 2016

Combining two prayers authentic prove from Sunni Books with Ayatay Quran

<<<§ISLAM KAY BUNIYADI SATOONON AUR UN PAR AMALDARAMAD§>>>

Do Nimazain Jama Kar Kay Parhna:>>>

Aksar Ahaylay Sunnat Hazrat iss Ghalaat Fhaymee Kaa Shikaar hain Khay Shia Log Tarakay Salaat hotay hain (Yani Nimaz nhen Parhtay) Inn Ka Mazhab Siraf rona Peetna hay yhe Saray Din ke Nimazain aik he Waqt main Akhatha Parh Laytay hain Waghairah Waghairah>>>

Laykan iss kay Baraks Agar Hum Shia Mazhab Kaa Gehrayee say Jaizah Layain to Humhain Khud Bakhud he Maloom ho jayay gaa Khay Iss Mazhabay Shia main nimaz kee Sakhat Pabandi hay Nimaz say Ghaflaat Qataan Na Qablay Bardasht hay aur Shia Log Sari Nimazain aik Waqt par ada karnay kay Qail nhen hain Albata who Nimzain Jin Ka Zikar Quran Majeed main bhe Akhatha Ayaa hay aik Dafah Parh Laynay Ko Jaiz Samajtay hain Maslan>>>

Ref: Suraaya Bani Israail Ayyaat no 78

(Nimaaz Ko Qaim Karain Aftaab Kay Dhalnaay Say Laay Kar Raat Kee Tareeki Taak aur Fajaar Kaa Quraan Parhnaa bhe Yaqeenan Fajar Kay Waqt Kaa Quran Parhnaa Hazir Kiyaa Gayaa hay)

Tafseer: (Dalookan kay Maynee Zawaal (Aftaab Dhalnaay) kay aur Ghasaaq kay Maynee Tareeki kay Hain Aftaab kay Dhalnay kay Baad Zohar aur Asaar kee Nimaaz aur Raat Kee Tareeki Taak say Muraad Maghraab Aur Eyshaa kee Nimazain Hain aur Quran Al Fajar say Muraad Fajaar kee Nimaaz hay Quran Nimaz Kay Maynee Main hay iss ko Quran say Iss Liyay Tabeer Kiyaa Gayaa hay Khay Fajaar main Qiraat Lambi hotee hay iss Tarha iss Ayaat main Panchon Faraz Nimazon Kaa Ajmali Zikar Aa Jataa hay aur Parhnaay Kaa Waqt Bhe Jinn Kee Tafseelat Ahadees main Miltee hay aur Jo Umaat Kaay Amaali Tawatar say Bhe Sabaat hay)>>>

Matlaab Nimazain 5 Hee Hain Parnaay Kaa Waqt 3 Time hay jo kaay iss Ayaat say Sabaat hay>>>

Shia Log Yhe Nimazain Aghathee Milaa kar to parh Laytay hain Laykaan Haar Nimaz ko Elaydah Elaydah Parhna Afzal bhe Samjtay hain aur yhe he Aqeedah Ahaylay Sunnat kaa hay Khay Nimazain Mila kar bhe Parhee Jaa Saktee hain magar Alaag Alaag Parhna Afzal hay Jaysa Khay Ahaylay Hadees Allama Waheed Al Zamaan Nay Likha hay>>>

(Do Nimazain Aghathee Parh Layna Kisee Uzar, Safer, aur Barish Kay Baghair Ahaylay Hadees Kay Nazdeek Jaiz hay aur Alag Alag Parhna Afzal hay)>>>

Ref: Hadiyatul Mehdi Jild 1, Page no 109>>>

Yhe Baat Sunnatay Rasool s.a.w.w say bhe Sabat hay Khay Hazoor s.a.w.w Safer Yaa Barish kay Baghair bhe 2 Nimazain Aghathee Parh Laytay Thay Saboot Kay Liyay Daykhiyay>>>

Ref: Saheeh Bukhari Mutarajaam Matboowah Saeedi Karachi jild 1, Kitaab Muwaqiyat Al Salaat Parah no 5, Page no 272, Hadees no 532>>>

2: Saheeh Muslim Mutarajaam Muwa Sarah Noodi Matboowah Saudiyah Karachi Jild no 2, Page no 258>>>

3: Sanan Abu Dawood Matboowa Misaar Al Juz Al Saani page no 8, Hadees no 1210, 1211>>>

4: Muwaata Imaam Maalik Matboowah Noor Muhammad Al Mutabaay Karachi Page no 126>>>

5: Sarah Muwaani Al Asaar Tahavee Matboowah Lahore Jild no 1, Page no 95>>>

Paas Maloom huwa Khay do Nimazain Milaa Kar Parh Layna Nah He Khaylafay Sunnat hay Aur Nah He Mutanaziyah aur Quran say bhe Sabat hay Laykan hum nay apnay Mamoo Zad Bhai Syed Mohsen Raza Kazmi Sahib say Dariyaft kiya Khay Bhai Jab do Nimazain Jama Kar kay Parh Layna Jaiz hay aur Mazhabay Sunniya Aur Shia Main Iss Maslay Par koe Ikhtalaf nhen to pher kiya Wajah hay Khay Ahaylay Sunnat Hazrat Amlaan iss Sunnat kay Pairokar nhen hain aur Aksar Shia Log Jamma Bain Al Salaat Teen kay Amaal hain Halan Khay Unn Kay Mazhab main Alag Alag Nimaz Parhna Afzal bhe hay to Unhon nay Jawaban Farmaya Khay Azizanay Maan Baat Youn hay Khay Ahaylay Sunnat nay Mehz Shiayon kee Mushahibat say Bachnay Kay Liyay iss Sunnat Ko Chorr diya hay aur Baray Majboor ho kar Aysa kartay hain aur chunkhay Shiayon Ko Sunnat Kee Hifazat har Shay Par Muqadim hay Lihazah Sunnat Ko Zindah O Jaari rakhnay Kay Liyay yhe log do Nimazain Milla kar Parhtay hain aur Jo Fazeelat Kaa Sawaab (Eaylaidah Parhnay say) Unn Kaa Baqi Rhay Jata hay who iss say Zaidah Kaa Sawaab Sunnat kee Hifazat kar kay Haasil Kar Laytay Hain Iss kay Baraks Sunni Hazrat Rasool s.a.w.w kee iss Sunnat kee koe Parwah nhen kartay hain Balkhay Ulta Shiayon Ko Nishanayay Aytraaz Bana Kar Bilwasta Rasoolay Maqbool s.a.w.w par Aytraaz kartay hain Allha Tabarak Wa Tallah Humhain 5 Waqt Kee Nimzain Sakoot O Etmananay Qalab say Ada Karnay Kee Tofeeq Ata Farmayain Ameen>>>

To Be Continue will be in a Next post........



0 comments:

Post a Comment

 
Toggle Footer