<<<§ISLAM KAY BUNIYADI SATOONON AUR UN PAR
AMALDARAMAD§>>>
Rafah Yadain (Yhe Sunnat Bhe Siraf Shia He Qaim Rakhay Huway
Hain (Rafah Yadain) Kaa Matlab hay Kano
Kee Loo Taak Hathon kaa Utha Kar Duranay
Nimaz Allah Ho Akbar Khayna):>>>
Sunni Hazraat Ke Mohtaybar Kitabon say yhe sabat hay Khay
Anhazrat s.a.w.w Nimaz main Takbeer (Yani Allha Ho Akbar Khayna) kay sath
Hathon Ko Uthatay thay Daykhiyay>>>
Ref: Saheeh Muslaam Mutarajam Muaa Sharah Noodi Matboowah
Maktabiyah Saudiyah Karachi Jild 2, Page no 10>>>
2: Sanan Abi Dawood Matboowah Mutbatah Al Saadat Misar Al
Jazair Baab Rafah Yadain Page no 269>>>
3: Hujatullah Al Balagha Muhadas Matboowah Motabata Al Walaaq
Misaar Page no 10>>>
Laykan afsos hay khay aaj Jaab Hum Mazhabay Sunniyah kee
nimaz daykhtay hain to yhe sunnat Wahan nhen miltee hay Jaab Rasoolay Khuda
s.a.w.w Rafah Yadain farmatay rahay to Aap Ummat honay kay Bawajood Hazoor
s.a.w.w Kee Etabaa kion nhen kartay hain Shahid iss kee wajah yhe hay khay Aap
Andeeh Taqleed kartay chalay aa rahay hain aur aap kay paas apnay Mazhab kay
Saheeh honay kee aik daleel khay aap kay Bazurgh issee par qaim thay Kay Siwaa
aur koe nhen hay warna agar aap Azadana Tehqeeq farmayain to Maloom ho jayay
Khay iss Mazhab main har amaal Rasoolay Karim s.a.w.w kay amaal say Mukhtalaf
hay>>>
Paas chunkhay Shiayon nay iss Sunnatay Rasool s.a.w.w kee
bhe Hifazat kee hay aur aaj Taak Aap s.a.w.w kay Tareekay Kay mutabiq Rafah
Yadain kar rahay hain iss liyay Sunnat kay Asaal Mutabay aur farmaan Bardar yhe
he log hain aur Sunni Hazarat apnay iss Numaishee Dawa Ahaylay Sunnat Ka Koe
Saboot pesh nhen kar saktay hain kion khay unhon nay Ghairay Rasool s.a.w.w kay
Ahykaam Ko Rasool s.a.w.w kay Ahykaam par Tarjeeh dee hay aur aysay Amaal ko
Qabool kar liya hay jo Sunnatay Rasool s.a.w.w kay Muwafiq nhan hain aur Unn
Amoor ko chorr diya hay jo Hazoor s.a.w.w Baja Laya kartay thay Lihazah aik
Muhammadi s.a.w.w Musalman kay liyay Zaroori hay Sunnatay Muhammadiyah kee
Etabaa karay aur Aap s.a.w.w kay Ahykaam O Amaal Kay Muqablay main Kisee Ummati
kee Baat Ko Bilkul koe Wuqaat nah day>>>
To Be Continue will be in a Next post........
0 comments:
Post a Comment