<<<§ISLAM KAY BUNIYADI SATOONON AUR UN PAR
AMALDARAMAD§>>>
Hazrat Umer Include Sentence “Aslaato Khairo Minan Noum”
After Nabi s.a.w.w in Azaan on his own opinion :>>>
Sunni O Shia Azaan Main aik Faraq yhe bhe hay Khay Shia
Hazraat Kee Azaan Tamam Nimazon Kay Liyay Aik he Tarah say Hay Laykan iss kay
Baraks Ahaylay Sunnat Wal Jammat ke Azaan Nimazay Subah Kay liyay Deegar
Awoqaat Kee Azanon say Mukhtalaf hay Khay Subah Kee Azaan Main Sunni Hazrat
(Aslaato Khairo Minan Noum) kay Alfaaz Parhtay Hain Jabkhay Yhe Fiqrah Shia
Azaan Main Mujood nhen hay>>>
Sunni Bhai Ahaylay Sunnat Honay Kaa Dawa Kartay Hain Lihazah
Naam Mazhaab Kay Aytabar say Unn Ka Mazhab Sunnat Say Mukhtalaf nhen Hona
Chaiyay Chunacha agar Sunni Hazrat Dar Haqeeqat Sunnatay Muhammadi s.a.w.w ko
Tasleem Kartay Hain to pher Jumla (Aslaat To Khairo Minan Noum) Sunnatay Rasool
s.a.w.w Sabat Karna un kay Zimmah hay Laykan Afsos hay Khay Tajasas O Tehqeeq
Kay Bawajood Bandahay Naheef Iss Kosish Main Kamiyaab nhen ho saka hay Khay iss
Fiqrah ko Zamanayay Rasool s.a.w.w Yaa
Ayhaiday Abu Bakar kee Azaan Main Talash Kar Sakay>>>
Albatah Kutaab Beeni say yhe sabat huwa hay khay Yhe Jumlah
Bhe Hazrat Umer Bin Khataab nay apni marzi say Azaan main Dakhil kar liya Halan
Khay Iss Kaa Wajood Zamanayay Nabi s.a.w.w aur Waqatay Abu Bakar Main Bilkul
Nah Tha>>>
Mujhay Yhe Taajab Hay Khay Hazrat Umer Nah He Nabi O Mursaal
Thay aur Nah He Saahibay Shariyat to pher Amooray Shariyah main who iss qisam
kee Kami Bayshee Kion Kartay Thay Yaa to who Deen Ko Illhami Tasleem Nhen
Kartay Thay aur Isay Naqis Khayaal Kar Kay Gahay Bagahay apni Aqaal say Iss Kay
Ahykaam Main Rado Badal kiya Kartay Thay Yaa Pher Khushamdi Groh nay Unn Kay
Zayhain main yhe baat Ubhaar Dee thee Khay Unhain yhe Ikhtiyar hay Khay Deen
main apni rayay say Mudakhaylaat kar Kay iss Main Tehreef kar Saktay Hain
Barhaal Unn Kaa Khayaal Khuch bhe ho humhain iss say sarokar nhen hay hum nay
chunkhay Muhammad s.a.w.w ko Rasool Akhar Uz Zamaan s.a.w.w Mana Hay aur Unn He
Kee Risalaat Kaa Kalaymah Sadiqay Dil say Parah Hay Lihazah Taqazahyay Imaan
yhe he hay Khay Aap kee Sunnat kay Khaylaaf kisee bhe Bazurgh kay Amaal ko
Wajab Al Etaat Nah Samjhain Kion Khay Anhazrat s.a.w.w nay Ummat ko Mukamal
Deen Ataa Farmaya hay Lihazah iss main Kami Bayshee karna Yaa Aysee Kaami
Bayshee Qabool kar layna Dar Asaal Khuda aur Rasool s.a.w.w Kee Mukhalayfat
karna hay Kion Khay Imaan Kaa Taqazaa hay Khay Jo Rasool s.a.w.w dayain who
Qabool kiya jayay Nah Khay Jo Ummati Rasool s.a.w.w kay Diyay ko Cheen Lay aur
apni taraf say Day who liya jayay Yhe he wajah hay Khay Mula Ali a.s nay
Seeratay Shaikheen (Yani Umer, Abu Bakar, Usman) Kee Sharat Qabool Nah
Farmayee>>>
Mujhay Afsos hay Khay Mutaliyah say yhe Baat Ayaan ho Jaati
hay Khay Hazrat Umer nay Azaan main Rasool s.a.w.w kay diyay huway Jumlay
(Haiyah Alaa Khairil Amaal) ko Rad kar Diya aur apni Taraaf say (Aslaato Khairo
Minnan Noum) Kaa Tohfah Hawalah Muslaymeen Kiya Paas Chunkhay Hazrat Sahib nay
Sunnat Kee Mukhalayfaat kee aur apni Zaati Rayay ko Deen main Dakhil Kiya
Lihazah jo Shaqs Mateeh Sunnatay Muhammad s.a.w.w honay Kaa Dawaydar ho Gaa who
Aap Saahib Kaa Yhe Hukaam Kisee Tarah Qabool Karnay par Tiyar nah ho gaa Haan
Agar Sunnat say Muraad Sunnatay Umer hay to pher Dusri Baat hay>>>
(Aslaato Khairo Minnan Noum) kay Alfaaz Azaanay Subah main
Dakhal Karnay Kaa hukaam Hazrat Umer nay Diya Iss Kaa Saboot Hasabay Zail
Kutaab Ahaylay Sunnat main Mulakhata Farmaiyay>>>
Ref 1: Moaata Imam Malik Matboowaah Noor Muhammad Al Mutabay
Karachi Bab Al Azaan Page no 57>>>
2: Al Farooq Molvee Shablee Noumani Hissah Doum Baab
Awoliyaat page no 663>>>
3: Roza Tul Ahybab Muhadis Jamal Ud Din Matboowa Lakhnwoo
Page no 307>>>
4: Urdu Tarjmah Az Alta Khafah Shah Wali Ullah Muhadas
Dhaylvee Matboowa Saeedi Karachi Maqsaad Doum Page no 158>>>
5: Neel Al Wataar Imam Showkani Matboowah Mua Hashiyah Awon
Al Baari Jild no 1, Page no 338>>>
6: Tehqeeq Ajeeb Muzfah Muftee Abdul Hayee Farooqi Farangi
Mahali Lakhnavi Page 5>>>
Zubanay Wahee Kaa Biyaan Kardah Jumlah (Haiya Alaa Khairil
Amaal) Jisay Hazrat Umer nay Azaan say Kharaj Karnay kaa hukam diya uss kay
Maynee yhe hain khay (Baytreen Amaal Kay Liyay Amadah Ho Jawo) aur Iss Qadar Ba
Maqsad Fiqrah Ka Ikhraaj kar kay Hazrat Umer nay jo Alfaa Raij kiyay (Aslaato
Khairo Minan Noum) unn kaa Matlaab hay (Nimaz Neend say Baytar hay) Yani Neend
kay Elawah Deegar Kamon say Nimaz Baytar nhen hay >>>
Inn dono Kalaymon kaa Fasahat O Balaghat par Ghorr karnay
say (Haiya Ala Khairil Amal) ko Fouqiyat Hasal ho jaati hay aur Kalaam say
Bakhoobi Andazah ho jata hay khay yhe Jumlah Masoom (s.a.w.w) Ka Kalaam hay aur
Wahee kee Muraad hay Jab Khay (Aslaato Khairo Minan Noum) main nah he Hussanay
Kalaam Mujood hay aur nah he Azaan kay sath Marboot hota hay Balkay Bilkul
Alaag saa Jurr lagta hay khay jiss tarah Paywand Laga ho>>>
Paas Maloom huwa khay Shiayon nay Hifazatay Sunnatay
Muhammad s.a.w.w kee Khatar (Haiya Ala Khairil Amal) ko jaari rakh kar jo
Hazrat Umer kay Hukaam Kee Mukhalayfat kee hay who Khata Kar Nhen hain Balkhay
Jinn Jinn Logon nay Alfazay Nabi s.a.w.w ko Ghairay Nabi s.a.w.w kay Khaynay
par Tarak Kar Diya Unhon nay Darasaal Sunnat Kee Mukhalayfat kee hay aur aik
Ummati kaa Khud Sakhitah Jumlah Juzoo Azaan Samaj kar aur Sunnatay Muhammad
s.a.w.w par uss Shakhas ko Tarjeeh Day kar iss Bat Kaa Saboot diya hay Khay Dar
Asaal who uss he Sunnat Kay Mateeh O Pairokar hain jo Khaylafay Rasool s.a.w.w
kisee Ghairay Nabi nay Jari kee hay>>>
Laykan jo shaqs Deenay Islaam Kaa Sarah Sarkaray Risalaatay
Mowaab ko he Tasleem karta hay who yhe kiss tarah kar sakta hay Khay Hukamay
Rasool s.a.w.w Kay Khaylaf Kissee Ghairay Rasool s.a.w.w Kaa Hukaam Manay
Khuwah Uss Kaa Martaba Kaysaa he Kion Nah Ho Rasool s.a.w.w Kay Martaba kay
Barabar To Nah Ho Gaa Naa Lihazah Shiayon Kee Azaan Baa Mutabiq Sunnatay
Payghambar s.a.w.w hay aur Ghairay Shiayon Kee Azaan Muharaf O Khaylafay
Sunnatay Rasool s.a.w.w hay>>>
To Be Continue will be in a Next post........
0 comments:
Post a Comment