<<<§ISLAM KAY BUNIYADI SATOONON AUR UN PAR
AMALDARAMAD§>>>
1: Nimaz
2: Rozah
3: Zakaat
4: Khumas
5: Hajj
6: Jihaad
>>>>
§Nimaz§:>>>
Nimaz Ko Emad Ud Deen Kaha Jata Hay Aur Hadeesay Rasool
s.a.w.w Kay Mutabiq Nimaz Momin Kee Mayraaj hay Yhan Zaroor Yhe he Hay Khay
Nimaz Kee Aymiyaat ko Jantay Huway Who Saheeh Tareekayay Nimaz Talash Karain Jo
Hazoor s.a.w.w Nay Taleem Farmaya hay Nimaz Kay Liyay Wazoo Zaroori Hay Agar
Wazoo He Saheeh Nah Ho to Nimaz Nhen ho Saktee Iss Liyay Baytar ho gaa Khay
Nimaz Say Qabal Hum Tehqeeq Wazoo Karain aur Daykhain Khay Kiss Maslak Kaa
Tareekayay Wazoo Ba Mutabiq Kitaab O Sunnat Hay>>>
§Wazoo§:>>>
Arshaday Rabul Ezat Hay Khay:>>>
Yaa Ayiyo Hala Zeena Amanoo Az Qumtum Alas Salaat Fazaloo
Wajoo Ha Kum Waa Aydeekum Alaal Murafiq Wa Showwabir Was Kum Wa Jo La Kum Alal
Kabayeen>>>
Yani ay Iman Walo Jab Tum Nimaz Kay Liyay Tiyar ho to Cheron
aur Hathon ko Koniyon Tak Doh Liya Karo aur apnay Saron Ka Aur Pawon Ka Takhnon
Tak Masah Kiya Karo>>>
Ref: Surayay Al Muadah Ayat no 6>>>
Ayatay Bala Main Khuda Wanday Hakeem Nay Saaf Saaf Alfaaz
Main Munh Aur Khoniyon Tak Hath Dhonay aur Sar par aur Dono Pairon Kay Takhnon
Taak Masah Karnay kaa Hukam Diya Hay Khatay Kasheedah Aflaaz Bilkul Zahir Hain
aur Kisee Taweel O Tashreeh Kay Mohtaaj Nhen Hain Isee Qurani Hukaam Kay
Mutabiq Milatay Shia Imamiya Kaa Amaal Hay Jab Khay Ghair Shia Hazrat Masah
Karnay Kee Bajayay Hukamay Khuda Kay Khaylaf Apnay Pairon Ko Dhotay Hain Deegar
Musalman Bhaiyon Nay Yhe Sareeh Mukhalayfatay Khuda Wandi Kiss Kee Khatar
Gawarah Kee Hay Iss Say Humhain Saro Kar Nhen Hay Seedhee Baat hay Khay Amalay
Rasool s.a.w.w Hukamay Khuda Kay Khaylaf Na Mumkin Hay Lihazah Yhe Masla Kisee
aur He Mujtahid Sahib ka hay Halankhay Aksar Ulmayay Ahaylay Sunnat Nay Bhe
Shiayon kay Iss Amal Ko Saheeh Tasleem Kiya Hay Jaysa Khay Imam Fakhar Ud Din
Raazi Nay Apni Tafseer Kabir Main Likha Hay Khay>>>
(Dono Pawon Dhonay aur Masah Karnay Main Logon nay Ikhtalaf
Kiya Hay)>>>
Qafaal nay Apni Tafseer Main Ibnay Abbas r.a O Uns Bin
Maalik o Akrama O Shabee aur Imam Muhammad Baqir a.s Say Naqaal Kiya Hay Khay
Dono Pawon Kaa Masah karna Wajab Hay Yhe He Mazhaab Shia Imamiya Kaa Hay aur
Fiqa O Mufasayreen kee Jamoori Jamayat Khaytee hay Dono Pawon Ka Dhona Faraz
hay aur Dawood Asfhani ka Qoul hay Khay Dhona aur Masah Karna Dono Wajab hain
aur yhe he Qoul Nasir Haq kaa Hay Jo Firqah Zaidiya Kay Imam Hain aur Hassan
Basra aur Muhammad Bin Jareer Tibri Ka Biyaan Hay Khay Wazoo Karnay Wala Pawon
Kay dhonay Ya Masah Karnay Main (Arjolakum) kay Laam Kee aur Zabar kee Mashoor
Qiraat Kee Bina Par Mukhtar hay Haan Ibnay Kaseer Aur Hamzah aur Abu Umer aur
Asaam Nay Rawayat Abu Bakar Main (Arjolakum) Kay Laam Ko Zair say Parah
Hay>>>
Ref: Tafseer Kabir Jild no 3, Page no 545, 546>>>
To Be Continue will be in a Next post........
0 comments:
Post a Comment