<<<§ISLAM KAY BUNIYADI SATOONON AUR UN PAR
AMALDARAMAD§>>>
Zil Qurba:>>>
Quran Majeed main>>>
Ref: Surayay Bani Israil kee Ayaat no 26, Kay Alfaaz youn
hain >>>
Tarjama: Yani aur Qurabat Daron aur Mohtaj Musaferon ko unn
kaa Haq day do aur Fazool Kharchi Maat Karo>>>
Chunacha Kutaab Ahaylay Sunnat main Zil Qurba kee Tashreeh
iss Tarah Marqoom hay>>>
Ibnay Jareer nay Hazrat Ali Bin Hussain a.s say Rawayaat kee
hay Khay Aap a.s nay aik Shami Mard say Poocha tun Nay Quran Parah hay? Bola
Haan Aap nay Poocha Kiya tun nay Surayay Bani Israil main (Daat Zilqurba Haqa)
Ayaat Mazkoora nhen Parha hay? Uss nay
araz kiya Yaqeenan Aap a.s he who Qurabat Dar hain Jin Kay Haq Daynay Ka Khuda
nay Hukaam diya hay Pher Bazaz Aby Al Alaa Bin Abi Hataam aur Ibnay Mardawiya
Nay Abu Saeed say Rawayat Kee hay Khay Jaab Yhe Ayat Nazal hue to Rasool
s.a.w.w nay Fatima s.a ko Bulaya aur Fiddak Ataa Farmaya Yhe he Rawayat Abu
Bakar Mardaviya nay Hazrat Ibnay Abbas r.a say Biyaan Kee hay Mulla Khata
Farmaiyay >>>
Ref: Tafseer Duray Mansoor Allama Hafiz Jalal Ud Din Sayooti
Jild 4, Page no 176, 177>>>
Neez Daykhiyay>>>
Ref: Madaraj Al Naboowat Mulla Moyeen >>>
Isee Tarah Molvee Shabli Noumani Likhtay Hain
Khay>>>
Ayaat Mazkoora main say Aap s.a.w.w siraf Bani Hasham, Bano
Matlaab (Abu Talab) ko Hissah Daytay Thay Banoo Nofal, Banoo Abd Shams, Halan
Khay Zil Qurba main Dakhaal Thay Laykan App s.a.w.w nay Bawajood Talab Karnay
Kay Bhe Khuch nhen diya Chunacha iss Wakiya ko Allama Ibnay Qeem nay Zaad Al
Miyaad main Kutaabay Hadees say Baa Tafseel Naqaal kiya hay >>>
Ref: Zaad Al Miyaad Jild 2, Page no 121>>>
2: Al Farooq Hissah Doum Page no 150>>>
Paas Ulmayay Ahaylay Sunnat kay Biyanaat say Sabat huwa Khay
Khumas Kay Haqdar Bani Hashaam O Aulaaday Abdul Matlaab hain Aur Hazoor s.a.w.w
nay inn he ko Zil Qurba main dakhaal Farmaya>>>
Chunacha Allama Shablee nay isee Haqeeqat ko Mazeed Taqveet
iss Tarah Pounchaee hay Khay Inn Wakiyaat say Awalaan yhe Sabat Huwa Khay Zil
Qurba kay Lafaaz main Tameem Nhen hay Yaani Takhsees hay aur nah he Banoo
Nofaal aur Banoo Abd Shamas ko bhe Anhazrat s.a.w.w Hissah Daytay Kion Khay who
log bhe Anhazrat s.a.w.w kay Qurabat Daar thay>>>
Ref: Al Farooq Hissah doum Page no 511>>>
0 comments:
Post a Comment