<<<§ISLAM KAY BUNIYADI SATOONON AUR UN PAR
AMALDARAMAD§>>>
<<<§Roza§>>>
Nimaz kay Bad dusra Darjah Roza Ka hay Jisay Arabi Zubaan
Main (Soum) Khaytay Hain Jiss Kay Lughvee Maynee Khamoshi kay hotay hain Ya
Baaz rhaynay Ya Ruk Janay Kay Mayni Main Istamaal hota hay Awaal Al Zikar
Maynee par bhe (Soum) Ka Itlaaq isee Mafhoom Kay Lihaaz say Hay Khay Zubaan ko
Bolnay Say Baaz rakha Jayay aur Kalaam Ko Roka jayay>>>
Roza Kay Maynee:>>>
Islaah Islam main Inn Maynee ko Mazeed Wosaat Dee gayeey hay
aur ruk Jana yaa Baaz Rhayna Lughvee Aytabaar say Wajbaat kaa Tarak karna aur
Mustahibaat say Baaz Rhayna hain Magar Sharaan Khas Amoor Ka Chorna Jin say
Shariyat nay uss main Mana Kiya hay Khas Iradah Ya Niyaat kay sath (Soum) Yani
Roza Khaylata hay yhe Islami Haysiyat Say Faraz hay aur Puray Mahay Ramzan main
isay Wajab Qarar diya hay Iss kay elawa Nazar Ayhaid, Kafarah Waghairah Kay
Liyay bhe Roza Rakha Jata hay Roza Kay Sisalay Main Jo Sab Say Ahaim Baat Shia
aur Sunni kay Darmiyan Tazad kee Bantee hay who hay Waqatay
Aftaar>>>>
<<<§Waqatay Aftaar§>>>
Jab Hum iss Ahaytiyat kee Paasdari kartay huway Roza
Daykhtay Hain to Surayay Baqirah Main Arshaday Khuda Wandi hay >>>
(Aur Khawo aur Piyo uss waqt tak khay tum ko Sufaid Khaat
(Yani Noor) Subah (Sadiq) kaa Matmeez (Yani Tameez) ho Jayay, Siyah Khaat say
pher (Subah Sadiq say) Raat Taak)>>>
Ref: Surayay Al Bakirah Ayaat 187>>>
Tashreeh: Roza ka aghaaz Fajaray Sadiq say ho jata hay aur
iss kee Intayha raat ko hotee hay (Roza ko Raat Taak Tamaam Karo) say yhe Baat
Bakhoobi Waziyah ho jati hay ( iss tarah Suraaj kay Gharoob gotaay hee Roza
Aftaar karna Khaylafay Quran Sabat ho jata hay) iss liyay khay Kurahay Aftaab
Kay Gharoob hotay he Raat nhen ho jaati Balkay Raat ka Aghaaz iss say Chand
Lamhon kay Bad Hota hay agar Humaray Paas iss Baat par koe Qurani Naas Mojood
nhen jo Khayti ho khay Maghrab kee Nimaz kay Waqt Kaa Aghaaz Gharoobay Aftaab
nhen Balkay Maghrab hay to yhan Roza Kay Mutalaq to Ayaat Siraahat Kay Sath
(Ilal Lail) Yaani Raat Taak Khay Rahee hay aur (Raali Al Gharoob) Yaani
Gharoobay Aftaab Taak Nhen Kaha iss liyay Khay Baaz Ayaat main yhe Baat
Siraahat kay sath Biyaan Hue hay (Khay Nimazay Asaar kay Waqt ke Intayha
Gharoob Ka Waqt hay Laykaan Roza Ke Intayha Ka Waqt Gharoob nhen Balkay Lail
hay) Yhe Baat bhe Bilkul Waziyah Hay Khay Kurahay Aftaab kay Gharoob honay Par
Din Tamam nhen Hota Balkay din he hota hay aur Raat Kaa Aghaaz uss Waqt Hota
hay Jab Raat kee Halkee see Tareeki Asmaan Par Zahir Ho Jayay>>>
Mazeeed Tashreeh: Iss Hukaam say Bilkul saaf Zahir hay Roza
Kee Intayha Yani Waqatay Aftar Raat Shuru honay kay Waqt Taak hay Lihazah Jab
Taak Raat Nah Ho Jayay Aftaar Darust nhen Balkay Qasadan Mukhalfatay Quran hay
Quran Majeed Kay Muqablah main koe Dusri Cheez Batorr Rujat Pesh Nhen Kee Jaa
Sakti Ayaat Main (Ilal Lail) Mujood hay Ab Agar Koe Mazhaab Iss Hukaam Kay
Khaylaf Apna Roza Qurani Waqt say Qabaal Khol Layta hay to who Darasal Roza
Torr Dayta hay>>>
Mazhabay Ahaylay Sunnat Wal Jamaat Nay Mayhaiz Shiayon Kay
Again Zid aur Mukhalafat main Iss Qurani Hukaam kee bhe Parwa Nhen kee hay aur
Barabar Apnay Rozay Raat kee Bajayay Din He main Aftar Kartay Chalay Aa Rahay
hain agar Khuda Ka Hukam Waqatay Maghrab Ko Saatay Aftar Qarar Dayna Hota to
Ayat Main Allha Talla (Ilal Maghrab) Farmatay Nah Khay (Ilal Lail) Maghar Bhai
Log Apni Qadeem Rawaat Par Ankh Band Kar Kay Amal Kiyay Chalay Jaa Rahay Hain
Halaan Khay Khud Ulmayay Ahaylay Sunnat Nay Iss Kaa Iqrar Kiya Hay Saheeh
Waqtay Aftar Bad Az Maghraab Hay Jaysa Khay Shah Wali Ullha Muhadas Dhaylavee
Likhtay Hain Khay >>>
(Hazrat Umer Aur Usman Nimazay Maghrab Kay Bad Roza Aftar
Kartay Thay)>>>
Ref: Fiqayay Umer Page no 110, Rawayat No 352>>>
Ab Ghorr Farmayain Hazraat Umer O Usman Nay (Ilal Lail) to
Mafhoom to yhe Samjha Khay Nimazay Maghrab Kay Bad Aftar Kiya Jayay Laykan Yaar
Logon nay Nah Siraf Quran O Sunnat Ke Mukhalayfat Kee Balkhay Seeratay
Shaikheen (Umer,Usman) Ko Bhe Thokra Diya Hay aur Ulta Yhe Jhoot Gharh Liya
Khay Nimazay Maghrab Kay Bad Roza Aftar karnay Walon Kay Rozay Makrooh ho Jatay
Hain Shahid Yhe Baat Banatay Waqt Unn ko Amalay Khulfa (A/N) Yad Nah raha Khay
Jhoot Ka Hafizah Kamzor hota hay Chaliyay Sahib Agar Shiayon Kay Rozay Makrooh
hain to pher App kay Khalifon (Above Named) kay rozay kion makrooh nhen? Halan
khay Hazrat Umer, Usman Chunkhay Amalay Rasool s.a.w.w ko Jantay thay Lihazah
Unhon Nay Nimazay Maghrab kay Bad Aftar Karna he Sunnatay Rasool s.a.w.w samjha
aur Makrooh Wali Baat unn kay Elaam Nah thee?>>>
Jab Khay Aap Hazraat kee he Kitabon Main Sunnatay Rasool
s.a.w.w kay Mutabiq Roza Kholnay Kaa Waqt Bhe Sabaat Shudah hay Hazrat Umer Bin
Khaytab say Rawayat hay khay Rasool s.a.w.w nay farmaya>>>
(Jab Raat Aa Jayay Din Chala Jayay aur Suraj Gharoob ho
Jayay to yhe Waqtay Aftaar hay iss he Bab Main Hazrat Ibnay Abi Aula, aur Abu
Saeed say bhe Rawayaat Manqool hain)>>>
Ref: Jamiya Trimzi Mutarjam Urdu, Bab Al Soum, Jild Awal,
Page no 385>>>
Ab aap khud he Andaza Kar Leejiyay Khay Asaal Rasool s.a.w.w
kee Sunnat Ko Kon Qaim Kiyay Huway Haiy aur Iss Kaa Manafi kon hay>>>
To Be Continue will be in a Next post........
0 comments:
Post a Comment