<<<§ISLAM KAY BUNIYADI SATOONON MAIN GHADARI KAY
KHAYLAF MUQADMAH§>>>
<<<§ (Jahaad) §>>>
(Momineen Karam Yhe Topic Mujhay Bara Dilchasp Laga Hay
Insha Allha Aap ko Bhe iss say Bhout Dilchaspi Ho Gee Kion Kay Jaab Baray Baray
Farar Ikhtiyar Karain to koe Mard Ko Lazmi Pukarta hay Jo Ghairyay Farar Ho Aur
Haideray Karar Ho Jiss Kay Hath Main Zulfiqar ho May Allha 5 Tan Pak a.s Bless
you all) >>>
Har Sahibay Imaan yhe Tasleem Karta hay Khay Maidanay Jahaad
Main Qatal Honay wala Momin Saheed Aur Allha kee Raah main Istayqamaat say Lar
Kar Zindah Bach Rhaynay Wala Ghazi aur Mustahiq Sawabay Azeem hota hay Jiss kay
Dil Main Imaan ke Mohabaat Mujayzan ho gee who Maidaanay Jahaad say Har Giz
Nhen Bhagaay Gaa Kion Khay usay Apni jaan say Zaidah Khuda aur Rasool
s.a.w.w kee Muhabaat Piyaari Ho Gee laykan Jiss kay Dil main Imaan naah ho usay
Khuda Aur Rasool s.a.w.w say Muhabat nhen Hotee Balkay apni Zindagee Mehboob
hote hay who he Shaks Maydanay Jang say Faraar Ikhtiyar Karta hay Jiss Kaa
Imaan Kamzor ho aur usay Deen say Duniya Piyari ho aysay Afrad Buzdil O Maloon
hain Lihaza Islam Main Jihaad say Farar har Lihaz say Qablay Muzamaat Aur
Mazmoom hay>>>
<<<§ (Jahaad Kay Islami Asool) §>>>
Jahaad Islam Ka Rukanay Azaam hay iss kee Fazeelat main
Bhout Ahadeesay Rasool s.a.w.w warid hue hain aur Quran nay Marika Jahad main
Jaan Qurbaan karnay Walon ko Zinda Qarar diya hay aur Unhain Murda khaynay Par
Pabandi Ayaid kee hay aur Basharat dee hay khay Shaheed Rizq Hasaal kartay hain
Islaam kay Buniyadi Qawaneen Quran Majeed main Darj Hain Chunacha Jahaad
Bilsaif Jinn Asoolon par hona chaiyay who Inn Do Ayaton say Maloom hotay
hain>>>
Tarjama: Yaani Deen (Kay Muamlay) main Zabardasti nhen hay
Hadayaat Khulaam Khullah Gumrahee Say Mumaiz ho gayee hay>>>
Ref: Surayay Baqirah Para no 3>>>
And>>>
Tarjama: Yani Qataal Karo unn ko (Kufaray Makkah ko) Jahaan
Pawo aur Unn Ko (Kufaray Makkah Ko) unn kay Gharon say Nikaal Do who jiss Tarah
Unhon (Kufaray Makkah) nay tum ko Nikala tha aur Fitna Qataal say Zaidah Bura
hay>>>
Ref: Surayay Baqirah Para no 2>>>
Awal Az Zikar Ayat Majeedah main Tableeghay Deen aur
Ishahatay Islaam kaa Asool Bataya Gaya hay khay Zabardasti O Sakhtee say
Mazhaab ko Maat Phaylawo Balkhay Ghair Muslamon ko Apnay Amaal O Afaal say apni
Taraf Mutawajo Karo Taa Khay who Apni Aqaalay Saleem say Daykh Layain khay Haq
Kahan Hay aur Batil Kider hay Kion Khay Jab who Tumharay Awaal O Kirdar say
Mutasar ho kar Kalmah Haq Parhain gay to Unn kaa Deen Pukhta O Rasakh ho gaa
Laykan agar tum Hathiyar Istamaal kar kay Unn Ko Jabbar say Musalman karo gay
to Islaam Halaq say Neechay nah Utray gaa Mehz Zubani Musalman honay ka Izhar
Ho Gaa aur Aysay Log Khuwah Kitnay hee Groh dar Groh Tumharay Deen main Aa
Jayain Gay who dil kay Khotay he Rahain gaay aur Har Waqt Taak Lagayay Rahain
gay aur kise bhe Waqt khatarnak sabaat ho saktay hain Chunacha daykha Gaya khay
jo Log Fathay Makkah kay Bad Fuj Dar Fuj Lalach O Khouf O Hiraas kay Bais
Musalman huway Wafatay Rasool s.a.w.w kay Baad Usee Tarah Groh Dar Groh Kharaj
Ho Gayay>>>
To Be Continue will be in a Next post........
0 comments:
Post a Comment