<<<§ISLAM KAY BUNIYADI SATOONON AUR UN PAR
AMALDARAMAD§>>>
Na Fayhaim 2:>>>
Hadeesay Rasool s.a.w.w hay Khay Hazrat Ayesha say Marvee
hay Khay Rasoolay Khuda s.a.w.w nay Farmaya Jiss nay Deen main koe Nayee Baat
Jaari kee who hum main say Nhen Balkhay who Mardood hay>>>
Ref: Saheeh Bukhari Jild 4, Page no 177>>>
Neez Hadees Hay khay Hazoor s.a.w.w nay Farmaya jo koe Aysa
Amaal karay khay hum nay uss kay Baray Main Hukaam Nah Diya ho who Amaalay
Mardood O Na Qablay Qabool hay>>>
Sunni Hazraat say Guzarish hay khay Manqoolah Dono Ahadees
kee roshni main Humari Phaylee ke posts ko maday nazar rakhtay huway Apni
Nimazon ka Jaizah Layain pher Yaqeenan Yhe he Faisla Farmayain gaay jo aap kay
Dusray Bhai logon nay Kiya Chunaha Jamayatay Keetrah hee kee Janaab say say aik
Pumfelit (Aslaat) Shaiyaa huwa Jiss Main Nimaz Marwajah Kaa Aylaniyah Inkaar
kiya Gaya hay Aur Nashar Idarah Balaghaal Quran Lahore nay Waziyah torr par iss
tarah Likha hay>>>
(Waziyah Rahay Idarah Balaghal Quran nay Arsaah huwa aik
Pumfelit (Aslaat) Shaiyah Kar Kay Wazahat Kar Rakhee hay Khay Marwajah Nimaz
Rasooli s.a.w.w Nimaz Har Giz nhen ho Sakti Jiss main (Faqara Wamaa Teesar
Minaal Quran) kay Khuda Wandi Hukam kay Khaylaaf Ghair Qurani Arabi Jumlay
Parhay Jatay hain aur Jiss Main Quranay Karim kee who Ebaratain Dhorayee Jaati
hain jo Nimaz Yani Khuda Kay Hazoor Hazari kay Maqaam Kay Ghair Mutaqaazi Hain
Jaysay Khay (Aiyaka Naabo Do Waa Aiyakaa Nastayeen) kay Barayay Raast Khaytaab
Kay Sath Khuda Ko Mukhataab karnay Kay Baad Pher Usaay Kaha Jata hay (Qul Ho
Wallah Ho Ahaad) Khay Allha aik hay Yaa Kaha Jata hay (Qul Yaa Aiyo Hal
Kafayroona Laa Abado Maa Tabo Doona..... La Kum Waliyad Deen) Kaafiron ko Khay
day khay Oyaay Kafiro Jiss kee Ebadaat tum Kartaay ho main Uss kee Ebadaat Nhen
Karta....Tumhara Deen tumhain Mubarik aur mera Deen Mujhay Mubarik Neez Nimaz
Main Aam Quran Parhna Bhe Muqtazi Maqaam kay Khaylaaf hay Aqaal O Khurd say
Bayzari kee Alamaat hay Khay Hazooray Elahee main Nikah O Talaaq aur Haiz o
Nafaas kay Masaail kee Tilawaat kee Jayay>>>
Chunkhay Rasoolay Akraam s.a.w.w Ka Inn Tamaam Khaylafay
Aqaal aur Khaylaafay Quraan Cheezon Ka Murtakib hona Har Giz Mumkaan nhen iss
liayay Hum nay Aylaan kar rakha hay Khay Marwajah Nimaz Nah Rasooli s.a.w.w hay
Nah Quraani Balkhay Yhe Kaheen Baad kee Ejaad hay>>>
Ref: Mahanamah Balagh Al Quran Lahore June 1967 Page no
17>>>
Mundarjah Bala Wazahaat Darbaray Nimaz Jo Idaarah Balaghal
Quran Lahore nay kee Bilkul Aysee Maloom hotee hay Jaysay nah Rahay Bans Nah
Bajaay Bansuri Yani Siray say Nimaz kaa Patah He Ghaib kar diya hay Chunkhay
Yhe Ahylay Sunnat Bhaiyon kay Ghar Ka Mamlah hay Lihazah Hum Iss par apni koe
rayay nhen daytay Ahaylay Sunnat Wal Jamaat Hazraat Janain aur unn Kaa Idarah
Balaghal Quran humhain to bas yhe he khayna hay Khay Khud Sunni Hazraat
Aylaniyah Tasleem kartay hain Khay Unn kee Nimaz nah Qurani hay Nah Rasooli
s.a.w.w Balkhay Baad kee Waziyah Kardah hay Yani Bidaat (Nayee Cheez) Hay
Laykaan Afsos hay Khay Taasab O Nafrat kee zanjeerain Unhain Alay Muhammad
s.a.w.w kee Taleemaat par Tawajah karnay say roktee hain agar who inn Bandhanon
say azad ho kar kar Khaloosay Neeyat say Nimazay Muhammad Wa Alay Muhammad
s.a.w.w Kay Falsafah Par Ghorr Farma Layain to Iss Qadar Jahriyahana Rayay
Kabhee bhe Muratab Nah Farmayain Kion Khay Muqararah Tamaam Amooray Nimaz Ba
Mutabiq Aqaal O Khurd aur Quran O Sunnat Payain gay aur Saqlain kee Hadayaat
kee roshni main Aqaalay Khalis Unn kee Rhaynomayee karay gee Pher Muqtazi O
Ghairay Muqtazi Ka Uzar insha Allha Rafay ho jayay gaa Laykan agar Khudsari aur
Fayhaimay Naqisah Kaa Naam he Aqaal o danish hay to pher ayse bayzaariyay khurd
o idraak kaa koe elaaj nhen Insha Allha hum kisee aur post main Nimaz kee Lafzi
Tasveer Kashee Mukaalmi Suraat main Pesh kar kay yhe sabaat zaroor karain gaay
Khay Shia Nimaz Bilkul Marboot aur Musalsaal hay aur iss main Kisee bhe jagah
Ghair Muqtazi Baat nhen hay Jaysa Khay Idarah Mazkoorah Ka Zoaam Apni Nimaz kay
Baray main hay Idarah Balaghal Quran nay to Nimaz ko Kulaa Mozoo o Bidat Qarar
diya hay Jab Khay Ruswayay Zamanah Mehmood Ahmad Abbasi Nay Apni
Kitaab>>>
Ref: Tehqeeq Syed O Sadaat Page 310>>>
Par Maslaahay Darood main Nimaz Ko Juzaan Baad kee Paydawar
Tehreer kiya hay Shahid, Ahmad Abbasi Agar Thoray din aur Zindah rhayta to apni
Nimaz ko Kullaa Mubdil O Muharif Khay Dayta>>>
Paas Jab Ghar Kay Bhaidi Nay Lanka Dhana Shuru kar dee hay
to Ab Bhe Waqt hay Hosiyaar ho Jayain>>>
To Be Continue will be in a Next post........
0 comments:
Post a Comment