Breaking News
Loading...
Friday, 1 July 2016

Takbeeratay Janazah

<<<§ISLAM KAY BUNIYADI SATOONON AUR UN PAR AMALDARAMAD§>>>

Takbeeratay Janazah:>>>

Mazhabay Shia aur Mazhabay Sunniyah kee Nimazay Janazah main bhe faraq hay Sunni Hazraat Nimazay Janazah Main 4 say Zaidah Takbeerain nhen Parhtay Jab Khay Shia kee Nimazay Janazah main 5 Takbeerain parhee jati hain Sunni Hazraat kaa Khaiyaal yhe hay Khay Munafiq kee Nimazay Janazah kee Mumaniyat Kay Bad Hazoor s.a.w.w nay 4 Takbeerat Parhna Shuroo kar deen Jab Khay Iss Imtana say Phaylay Aap s.a.w.w 5 Takbeerain parah kartay thay Lihazah Akhari Amalay Rasool s.a.w.w Sunnat ho gaa Jab Khay Shia Badastoor 5 Takbeeron kay Qail hain Unn Ka Dawa hay Hazoor s.a.w.w Momin kay Janazah par 5 Takbeeraat parhtay rahay aur Ayaiday Abu Bakar tak Yhe he Sunnat Qaim raheeh magar Hazrat Umer nay 4 say Zaidah Takbeerain Khaynay say Manna kiya>>>

Sunni Hazraat kee yhe baat samaj nah aa saaki khay Hurmatay Nimazay Janazahyay Munafiq kay sath aik Takbeer kion Kam Kar dee gayee? Yhe muamllah humhain Samjha diya jayay Khay Nimaz to Manna hoe Takbeer kiss liyay Ghaat gayee? Jab khay Kutabay Sunniyah he say Sabaat hay Khay 5 Takbeeraat Hazraat Umer kay Zamanah taak Jaari raheen laykan unhon nay 4 say Zaidah Takbeeron par pabandi laga dee, Saboot kay liyay daykhiyay>>>

Ref: Tareekhay Khulafa Allama Jalal Ud Din Sayooti Page no 73, 74>>>

2: Al Farooq Allama Shablee Noumani Hissah Doum page no 663>>>

3: Tareekh Abu Al Fida Jild Awaal Page no 174>>>

Aab Sawaal Paidah hota hay khay agar Anhazrat s.a.w.w he nay 4 Takbeeraat parhee theen to pher Ashabay Rasool s.a.w.w nay Uss Sunnat par Amaal kion nah kiya Khay Hazrat Umer ko 4 say Zaidah Takbeeraat khaynay par Hukamay Mumaniyat Nafiz Karna Parha? Ya to log Sunnat he 5 Takbeeron ko Samjtay thay aur 4 Takbeeron say Na Waqif thay Basooratay Deegar Hazrat Umer nay Khaylafay Sunnat apni Taraf say yhe Hukaam diya Tabhee to Usay Aoliyaatay Umer main Likha Jata hay>>>

Paas iss Hukaam ko Aoliyaat main Shumar karna he yhe daleel hay khay Ahaiday Risalaat s.a.w.w aur Zamanayay Abu Bakar main iss say Mukhtalaf amaal tha yani 5 he Takbeeraat Nimazay Janazah main parhee jati theen>>>

Lihazah Sunnatay Rasool s.a.w.w ko chorr kar Hazratay Umer kay Hukaam kee pairavee karna aysaa he hay Khay Risalaatay Muhammad s.a.w.w kaa Inkar kar kay Naboowatay Umer ko Maan Liya Jayay Shahid Iss Liayay Rah Humwaar karnay kee Khatar yhe Hadees Likhee gayee hay khay>>>

(Agar meray Baad koe Nabi s.a.w.w hota to who Umer hota)>>>


To Be Continue will be in a Next post........


0 comments:

Post a Comment

 
Toggle Footer