§HUM MATAAMAY HUSSAIN A.S KION KARTAY HAIN§ (Matamay Hussain
a.s Dar asaal Marhagaay Yazeed Hay)>>>
100 Prove About Matam, Prove No 25:>>>
Hazrat Jaffer Tiyar r.a kee Shahdat Par Rasool s.a.w.w Kee
Giryah Zari>>>
Hazrat Jafferay Tiyar r.a ke Khabaray (Shahadat) Par An
Hazrat s.a.w.w kay Giryah aur Huzan O Malaal kay Wakiyat say Maloom hota hay
khay koe Shaks Siraf Museebat main Giryah O Buka Karnay ke Wajah say Sabron aur
Rahay Elahi kay Raza Mandon kay Dairay say Bahir nhen Ho sakta Ta Waqt Khay uss
ka Qalab Mutmain hay Kion Khay Museebat main yhe Halatay (Giryah O Buka) Unn
Rhaymat O Riqat kay Asaar main say aik Asaray Khas Ke Kayfiyat hay Jo Khudayay
Tala ke Taraf say Har Bandahayay Momin kay Dil main Wadiyat Farmayeey gayeey
hay Al Bataa Yhe Kaha Ja Sakta hay khay jiss Shaks par Museebat Parhay aur who
apnay Darday Dil Ka elaaj Sabar o raza say Karay to uss ka Martaba uss Shaks say
Jo Museebat main dard mand nhen hota aur Riqatay Qalab say Ansoo Nhen Bahata
Buland ho ga kion khay Museebat main dard mand nah hona aur Aah O Zaari Nah
karna Qasawat Qalbee ke Nishani hay>>>
Ref: Roza Tul Ahybab Muhadas Sherazi Hafiz Jamal Ud Din Afghani
Ba Hawalah Wakiyatay Karbala kee Yadgar Page no 91>>>
Abb agar isse Asoolay Amal ke Muqablat Hazrat Jaffer Bin
Abee Talab r.a kay Wakiyatay Shahadat aur Huzan O Maalal aur Giryah O Buka
Hazrat Rasoolay Khuda s.a.w.w main ke jayay to Maloom hota hay Khay Hazooray
Akram s.a.w.w Masoom hain Aap Mustafa s.a.w.w Payghambar hain iss bina par Aap
s.a.w.w nay Baa Kamal Istaqlal Apnay Umm Zaad Biradar kay Wakiyah Shahdat Par
Razi Ba Razayay Elahi rhay kar Sabar O Sakoot Farmaya Laykan Riqatay Qalab aur
Rayhaim Dilee kay Taqazay say jo Ain Wadiyaat Elahi Batlayee gayee hay Ashak
Rawani Farmayee Magar Hazrat Jaffer r.a kay Ayaal to Ghari Masoom thay Chunacha
Aam Fitratay Insani Kay Mutabiq Unhon nay Aap r.a Kee Mufariqat main Jaza O
Qazaa kee Lihaza Baqolay Ulmayay Ahalay Sunnat Tibri Ibnay Hujar Zarqayee
Qistalani aur Muhadas Shirazee Wo Qaswat Qalbee Shumar ho gee>>>
Ala Hazaa Al Qiyaas Sabat Huwa khay Waqtay Museebat Azadari
Sabar kay Khaylaf nhen Balkay Rhaymat O Riqat Kay Asaar main say aik Asaray
Khas Kee Kayfiyat hay>>>
0 comments:
Post a Comment