<<<§ISLAM KAY BUNIYADI SATOONON AUR UN PAR
AMALDARAMAD§>>>
Khumas Kay Silsala main Amalay Umer 4:>>>
Molvee Shablee Noumani Hazrat Umer Kay Baray main Likhtay
Hain Khay Hazrat Umer Ko Zil Qurba Kay Ghair Mouayeen Haq say Har Giz Inkar Nah
Tha aur Shablee Sahib Kay Baqoul Khumas Ko Qurabat Daraanay Rasool s.a.w.w
(Saray Bani Hasham aur Auladay Abdul Matlab Hazoor s.a.w.w kay Zairay Kafalat
nah thay yhe Bat Shablee ke Khud Sakhta Banyee hue hay) Ka Haqdar iss Liyay
Banaya gaya Tha Khay Hazoor s.a.w.w Tableegh Ahykaam aur Muhimaatay Risalaat kay
Injham daynay kee Wajah say Muaash kee Tadbeer main Mashghool nhen ho saktay
thay iss liyay Zaroori tha khay Mulaak kee Amdaan main say koe hIssah Aap
s.a.w.w kay liyay Makhsoos kar diya jayay iss kay Baad Shablee likhtay
hain>>>
(Iss Bina Par Anhazrat s.a.w.w aur Zil Qurba kay liyay jo
khuch Muqarar tha Waqti Zaroorat aur Maslayhat kay Lihaz say tha Laykan yhe
Qarar dayna Khay Qiyamat taak Aap kay Qurabat Daron kay liyay Panchwan Hissah
Muqarar kar diya gaya hay aur Go Inn kee Nasaal main kiss qadar taraqi ho aur
Go who kitnay he doulaat mand aur Ghani ho jayain Taham in ko yhe Raqaam
Humeshan Miltee rahay gee Aysa Qaidah hay jo Asaal Tamadan kay Bilkul Khaylaf
hay kon Shaqs Yaqeen Kar Sakta hay khay aik sacha Baniyay Shariyat yhe Qaidah
Banayay ga khay iss ke Tamam Aulaad kay liyay Qiyamat Tak aik Moaiyaan Raqaam
miltee rahay agar koe Baniyay Shariyat aysa Karay to iss main aur Khud Gharaz
Barhamnon main kiya faraq ho ga Hazrat Ali a.s O Abdullah Bin Abbas r.a jo
Khumas Kay Mudayee thay unn kaa bhe yhe Maqsad har Giz nah ho sakta tha yhe Haq
Qiyamat tak kay liyay hay Jabkhay jo log Anhazrat s.a.w.w kay Zamanay kay Baqi
rahay gayay Thay unn he kee Nisbat unn ko Aysa Dawa ho ga>>>
Ref: Al Farooq Hissah Doum Page no 513>>>
0 comments:
Post a Comment