Breaking News
Loading...
Thursday 14 July 2016

Act Upon Khumas by Hazrat Umer Part 3

<<<§ISLAM KAY BUNIYADI SATOONON AUR UN PAR AMALDARAMAD§>>>

Khumas Kay Silsala main Amalay Umer 3:>>>


Dusri Qablay Ghorr Baat yhe hay khay Hazrat Umer Haqay Sadaat say Inkaar to nhen kartay thay Magar Iss main kami bayshee ko bahaysiyat Khaleefa Jaiz samjtay thay ab sawal yhe hay khay Ayatay Quran aur Amalay Rasool s.a.w.w Kee Mujoodgi main Khaylafay Quran O Sunnat Hazrat Umer ka aysa ikhtiyar istamal karna Siraf Hazrat Umer ka Zaati Khayaal Ya Fail ho gaa Chunkhay Hazrat Umer nah he Sahibay Wahi thay aur nah hee un ko Sunnat Tabdeel karnay ka Haq Hasaal tha Lihazah unn kay Zaati Ijtayhaad ko Quran kee Ayat aur Sunnat kee Mujoodgee main koe Aymiyat nhen dee jaa sakti hay sidhee see baat hay khay agar Hissah Mazkoorah main Kami Bayshee karna Darust hota to Bani Hasham ko iss Baray main Zaroor Maloom hota aur kisee bhe puray Hisshay Kaa Taqazah nah Kartay aur Agar Hazoor s.a.w.w nay aysa farmaya hota khay meray bad Hakaam kee Marzi par yhe baat Munasar hay khay pura day yaa khuch kaam Zaydah kar day to bhe Hazrat Umer ko Hakaam Jantay huway Bani Hasham apnay Hissah ko Talab nah Kartay agar Bani Hasham istafsar kartay to Hazrat Umer ko chayiyay tha khay Farmanay Rasool s.a.w.w say unn kee tasali kar daytay Khay Khaleefah iss maal main rado badal karnay Kaa Majaaz hay Laykan Hazrat Umer nay Aysee koe Hadees Bani Hasham kay Samnay Pesh Nah Farmayee Jiss say Saaf Torr par Sabat hota hay khay yhe Rayay Khalisatan Hazrat Umer kee Zaati Rayay Nah Thee Jo Hujaat Qarar nhen dee Jaa Sakti Kion Khay Nah hee Aap Masoom Khaleefah thay aur nah he koe Nabi Isee liyay Imam Shaafi nay Baari Deedah Dalairee say Sabaat kiya Khay Anhazrat s.a.w.w Humeshan Panchwan Hissah daytay thay>>>


0 comments:

Post a Comment

 
Toggle Footer