<<<§ISLAM KAY BUNIYADI SATOONON AUR UN PAR
AMALDARAMAD§>>>
Khumas Kay Silsala main Amalay Umer Part 1:>>>
Molvee Shablee Noumani kay Baqoul Hazrat Umer nay Bani
Hasham Sadaat Ka Yhe Haq Bahaal rakha Chunacha Shablee Likhtay Hain Khay
(Hazrat Umer r.a nay Jahan Taak Saheeh Rawayaton say Sabaat hay Banoo Hasham
Aur Banoo Matlaab Kaa Haal Bahaal Rakha Laykan Dono Baton main Unn Kay Mukhalaf
thay aik yhe khay who yhe nhen samjtay thay Khay Khumas ka Pura Panchwan Hissa
Zil Qurba ka haq hay dusray yhe khay who Maslayhat aur Zaroorat kay Lihaz say
Kamo Baish Taqseem karna Khaleefayay Waqt ka Haq Samjtay thay Bar Khaylaf iss
kay Abdullah Bin Abbas Waghairah Kaa Dawa tha khay Panchwan Hissa Puray kaa
Pura Khaas Zil Qurba Kaa Haq hay aur kisee ko iss main kisee qisam kay tasaraf
ka Haq Hasaal nhen Qaazi Abu Yousaf Saahib nay Kitaab Al Khayraaj main aur
Nisayee nay Apni Saheeh Main Abdullah Bin Abbas kaa yhe Qoul naqal kiya
hay>>>
(Hazrat Umer Bin Khaytaab nay Yhe bat Hum Logon kay samnay
pesh kee the Khay Hum Log Khumas Kay Maal Say Apnay Baywayon kaa Nikkah aur
Maqroozon Kay Qaraz kay Masaraf lay Liya Karain Laykan Hum Bajuz iss kay
Tasleem Nhen Kartay thay Khay Saab Humaray Hath main diya jayay Umer nay iss ko
Manzoor nah kiya)>>>
Aur yhe Rawayatain bhe iss kay Muwafiq hain Siraf Kaleeni
kee aik rawayat hay Khay Hazrat Abu Bakar O Umer nay Zil Qurba Kaa Haq Saaqit
kar diya Laykan Kaleeni Bhout Zaheef Al Rawayaat hay iss liya uss kee Rawayaat
Kaa Aytabar nhen Ho sakta>>>
Ref: Al Farooq Hissah Doum Page no 511,512>>>
0 comments:
Post a Comment