§HUM MATAAMAY HUSSAIN A.S KION KARTAY HAIN§ (Matamay Hussain a.s Dar asaal Marhagaay Yazeed Hay)>>>
100 Saboot Azadari Kay Mutalaaq, Saboot No 57:>>>
Alam Ko Ahytraman Chumna aur Ziyarat Kee Sayee
Karna:>>>
Jaab Hazrat Ali a.s nay Jangay Safeen main Malakay Ushtar
say Farmaya Khay Meray Paas aik Alam hay Jo Aaj Say Phaylay Main Nay nhen
Nikala aur yhe who Phayla Alam Mubarak hay Jisay Risalatay Panah s.a.w.w nay
Nikala tha aur Anhazrat s.a.w.w nay Mujh say Farmaya tha khay Ay Abu Al Hassan
a.s tum meray Baad Nakiseen Aur Fasikeen say Jang Laro gay aur Pher Hazrat
Ameer a.s nay who Alam Nikala aur who bhout Purana Ho chuka tha Paas Jab Logon
nay Nabi s.a.w.w Ka Alam Daykha to Buland Awaz say Ronay Lagay aur Jin Logon
nay iss Alam Tak Pounchnay Kaa Rasta Paya Unhon nay Usay Chuma>>>
Ref: Akseer Al Ebadat Page no 263, Bahawalah Matam aur
Sahaba Page no 217>>>
Pas Shabeeh Alam say Maqsood aik Naqsha Ko Zayhain Main Lana
Hota hay aur iss Ka Adab O Ahytaram Izharay Aqeedat kay Torr par hay Jo Nah he
Shirak o Bidat Hay aur Nah He Amaray Mamnoo Jaysa Khay Ashab O Tabayeen Kay
Amal say Mutazakirah Baala Rawayat say Sabat Hay>>>
To Be Continue will be in a Next post........
0 comments:
Post a Comment